Apne Rahne Ka Thikana Aur Hai

apne rahne ka Thikana aur hai

ye qafas ye aashiyana aur hai

maut ka aana bhi dekha bar-ha

par kisi par dil ka aana aur hai

naz uThane ko uThate hain sabhi

apne dil ka naz uThana aur hai

dard-e-dil sun kar tumhein nind aa chuki

banda-parwar ye fasana aur hai

raat bhar mein sham-e-mahfil jal-bujhi

aashiqon ka dil jalana aur hai

hum kahan phir baghban gulshan kahan

ek do din aab-o-dana aur hai

bholi bholi un ki baaten ho chukin

ab KHuda rakkhe zamana aur hai

chhoD dun kyunkar dar-e-pir-e-mughan

koi aisa aastana aur hai

yar-e-sadiq DhunDte ho tum 'jalil'

mushfiq-e-man ye zamana aur hai

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Rahne Ka Thikana Aur Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Apne Rahne Ka Thikana Aur Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Apne Rahne Ka Thikana Aur Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Apne Rahne Ka Thikana Aur Hai in PDF.