Aur Un Aankhon Ne Mere Dil Ki Haalat Zar Ki

aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki

ho nahin sakti dawa bimar se bimar ki

mohr ki un par zarurat kya hai ai pir-e-mughan

ek ek KHam par lagi hai aankh har mai-KHwar ki

KHair ho ya-rab kahin wo KHud na ban jaen raqib

aaine par aaj paDti hain nigahen pyar ki

KHun kar ke dil hamara phir gai wo mast aankh

ek hi chullu mein niyyat bhar gai mai-KHwar ki

did ke talib the musa tur ko thi kya KHabar

phunk kar rakh degi bijli jalwa-e-didar ki

jalwa-e-mahbub se KHali na dekha dil koi

aaine hain saikDon aur ek surat yar ki

ho subuk-raftar kitni hi nasim-e-subh-dam

aankh khul jati hai phir bhi nargis-e-bimar ki

duKHtar-e-raz ne diye chhinTe kuchh aise saqiya

pani pani ho gai tauba har ek mai-KHwar ki

kuchh phale-phule na ye nazuk mazamin ai 'jalil'

be-khile murjha gain kaliyan mere gulzar ki

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Un Aankhon Ne Mere Dil Ki Haalat Zar Ki In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Aur Un Aankhon Ne Mere Dil Ki Haalat Zar Ki is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Aur Un Aankhon Ne Mere Dil Ki Haalat Zar Ki for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Aur Un Aankhon Ne Mere Dil Ki Haalat Zar Ki in PDF.