Baha Kar KHun Mera Mujhse Bole

baha kar KHun mera mujh se bole

ki le jine se apne hath dho le

jo dil paya hai to chaar ashk ro le

zamin achchhi mili hai bij bole

sada apni hai bazar-e-junun mein

dil apna muft ka sauda hai jo le

wo jate hain akele mere ghar se

nikal kar jaan tu hi sath ho le

khulegi zulf se KHud dil ki chori

wo jadu kya na jo sar chaDh ke bole

tujhe hai iKHtiyar aana na aana

dil-e-muztar ka kahna man to le

ajal boli ye turbat mein liTa kar

bahut jaga hai ab ji bhar ke so le

ghaTaen jhumti hain mai-kade par

ki pariyan uD rahi hain baal khole

kisi ko de diya dil muft apna

'jalil' aise hi to hain aap bhole

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baha Kar KHun Mera Mujhse Bole In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Baha Kar KHun Mera Mujhse Bole is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Baha Kar KHun Mera Mujhse Bole for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Baha Kar KHun Mera Mujhse Bole in PDF.