BaiTh Ja Kar Sar-e-mimbar Waiz

baiTh ja kar sar-e-mimbar waiz

ho gaya tu to mere sar waiz

mai to jaez nahin ye jaez hai

roz khata hai mera sar waiz

band karta hai dar-e-tauba kyun

khol kar waz ka daftar waiz

waizon ki main karun kya tarif

ghar mein mai-KHwar hain bahar waiz

mai-kashon hi ke liye hai ye baat

jo hai dil mein wahi lab par waiz

dekh kis rang se uTThi hai ghaTa

tah kar ab waz ka daftar waiz

kis tarah pite hain pine wale

dekh lena lab-e-kausar waiz

maut bhi aati hai to hile se

aa gaya rindon mein kyunkar waiz

saKHtiyan rindon pe karte karte

aql par paD gae patthar waiz

aatish-e-tar ka jo paD jae maza

phunk de waz ka daftar waiz

rind aape se jo bahar hain to hon

tu na ho jame se bahar waiz

shisha-e-dil ka KHuda hafiz hai

teri har baat hai patthar waiz

zikr-e-mai waz mein jab aata hai

jhumta hai sar-e-mimbar waiz

le ke aankhon se lagata saghar

paDh jo leta KHat-e-saghar waiz

mahfil-e-waz mein kyun jaun 'jalil'

hain mujhe shisha-o-saghar waiz

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaiTh Ja Kar Sar-e-mimbar Waiz In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. BaiTh Ja Kar Sar-e-mimbar Waiz is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem BaiTh Ja Kar Sar-e-mimbar Waiz for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download BaiTh Ja Kar Sar-e-mimbar Waiz in PDF.