Bin Tere Kya Karun Jahan Le Kar

bin tere kya karun jahan le kar

ye zamin aur ye aasman le kar

ashk chhalkae baal bikhrae

wo gae meri dastan le kar

do jahan ki talab se farigh hun

tera dar tera aastan le kar

uD gae sab chaman ko rah gae hum

chaar tinkon ka aashiyan le kar

rang-e-mahfil tera baDhane ko

aae hum chashm-e-KHun-fishan le kar

sab gae puchhne mizaj un ka

main gaya apni dastan le kar

sab phire le ke apne yusuf ko

main phira gard-e-karwan le kar

sab uDe le ke phul gulshan se

aur hum apna aashiyan le kar

meri taqdir kya bataun 'jalil'

ja rahi hai kahan kahan le kar

(625) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bin Tere Kya Karun Jahan Le Kar In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Bin Tere Kya Karun Jahan Le Kar is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Bin Tere Kya Karun Jahan Le Kar for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Bin Tere Kya Karun Jahan Le Kar in PDF.