Bu-e-mai Pa Ke Main Chalta Hua Mai-KHane Ko

bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko

ek pari thi ki laga le gai diwane ko

mere saqi sa kahan koi pilane wala

aankhen kahti hain luTa dijiye mai-KHane ko

saKHti-e-ishq uThane ka zamana na raha

ab to hai phul bhi pathar tere diwane ko

hath mein aate hi kya panw nikale saqi

aafrin hai tere chalte hue paimane ko

is mein ai ahl-e-watan rae tumhaari kya hai

kahti hai wahshat-e-dil ghar se nikal jaane ko

chal gaya kaam yahan jam chale ya na chale

baada-kash lauT gae dekh kai mai-KHane ko

dil sulagte rahen parwa nahin hoti kuchh unhen

shama achchhi ki jala deti hai parwane ko

shamil-e-daur hon aghyar sitam hai saqi

apne paimane se baDhne de na paimane ko

Husn-e-KHidmat ka sila dekhiye yun pate hain

ruKH mila aaine ko zulf mili shane ko

chaal hai mast nazar mast ada mein masti

jaise aate hain wo TuTe hoe mai-KHane ko

abr mein barq ka rah rah ke chamakna kaisa

ye bhi ek us ki hai shoKHi mere taDpane ko

is mein ai parda-nashin parda-dari kis ki hai

dekhne aati hai KHilqat tere diwane ko

KHub insaf hai ai baada-kasho kya kahna

tum ko taskin ho gardish ho jo paimane ko

hai baDi chiz lagi dil ki KHuda jas ko de

aag mein kud paDa dekhiye parwane ko

ho ke paband-e-junun sab se rihai pai

beDiyan lipTi thin lakhon tere diwane ko

khinch chuki tegh to ab hai ye rukawaT kaisi

aap taDpane ko aae hain ki tarsane ko

koi aisi bhi hai surat tere sadqe saqi

rakh lun main dil mein uTha kar tere mai-KHane ko

but-e-pindar ko toDo to ho dil pak 'jalil'

tum KHuda-KHana banao isi but-KHane ko

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bu-e-mai Pa Ke Main Chalta Hua Mai-KHane Ko In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Bu-e-mai Pa Ke Main Chalta Hua Mai-KHane Ko is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Bu-e-mai Pa Ke Main Chalta Hua Mai-KHane Ko for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Bu-e-mai Pa Ke Main Chalta Hua Mai-KHane Ko in PDF.