Chaal Aisi Wo ShoKH Chalta Hai

chaal aisi wo shoKH chalta hai

hashr ka jis pe dam nikalta hai

ashk-e-KHun kyun na aankh se Tapken

dil ka arman yunhi nikalta hai

saqiya ek jam ke chalte

kitne pyason ka kaam chalta hai

main kisi sarzamin ka qasd karun

aasman sath sath chalta hai

hae gardish wo chashm-e-saqi ki

main ye samjha ki jam chalta hai

sarw hai nam naKHl-e-ulfat ka

phulta hai kabhi na phalta hai

kya zamana bhi hai asir tera

ki ishaare pe tere chalta hai

tir dil ka na khinch rahne de

lutf-e-sohbat hai ji bahalta hai

sher-e-rangin na samjho un ko 'jalil'

tuti-e-fikr lal ugalta hai

(1548) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaal Aisi Wo ShoKH Chalta Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Chaal Aisi Wo ShoKH Chalta Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Chaal Aisi Wo ShoKH Chalta Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Chaal Aisi Wo ShoKH Chalta Hai in PDF.