Hae Dam Bhar Bhi Dil Thahar Na Saka

hae dam bhar bhi dil Thahar na saka

hath sine pe koi dhar na saka

aaina kis se dekha jata hai

rashk ke mare wo sanwar na saka

rah gaya aankh mein nazakat se

dil mein naqsha tera utar na saka

wusat-e-zarf se raha mahrum

jam mera kisi se bhar na saka

is jahan se guzar gae lakhon

is gali se koi guzar na saka

mai-kashi se najat mushkil hai

mai ka Duba kabhi ubhar na saka

ashk jari the yaad-e-gesu mein

raat bhar qafila Thahar na saka

mausam-e-gul mein bhi 'jalil' afsos

daman apna gulon se bhar na saka

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hae Dam Bhar Bhi Dil Thahar Na Saka In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Hae Dam Bhar Bhi Dil Thahar Na Saka is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Hae Dam Bhar Bhi Dil Thahar Na Saka for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Hae Dam Bhar Bhi Dil Thahar Na Saka in PDF.