Hamara Dil Wo Gul Hai Jis Ko Zulf-e-yar Mein Dekha

hamara dil wo gul hai jis ko zulf-e-yar mein dekha

jo zulfen ho gain barham gale ke haar mein dekha

bhala gul kya tera ham-sar ho jis ki ye haqiqat hai

abhi gulshan mein dekha tha abhi bazar mein dekha

basirat jab hui paida hamein mashq-e-tasawwur se

jo kuchh KHalwat mein dekha tha abhi bazar mein dekha

chaman mein ek but-e-nazuk-ada mahw-e-tamasha hai

naya gul aaj hum ne daman-e-gulzar mein dekha

'jalil' ek naz ki qimat dil o jaan din o iman hai

ajab andaz hum ne husn ke bazar mein dekha

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamara Dil Wo Gul Hai Jis Ko Zulf-e-yar Mein Dekha In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Hamara Dil Wo Gul Hai Jis Ko Zulf-e-yar Mein Dekha is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Hamara Dil Wo Gul Hai Jis Ko Zulf-e-yar Mein Dekha for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Hamara Dil Wo Gul Hai Jis Ko Zulf-e-yar Mein Dekha in PDF.