Hasti Hai Adam Meri Nazar Mein

hasti hai adam meri nazar mein

sujhi hai ye ek umr bhar mein

o aankh chura ke jaane wale

hum bhi the kabhi teri nazar mein

phailati hai panw hasrat-e-did

ThanDak jo mili hai chashm-e-tar mein

koi na hijab kaam aaya

dekha to wo the meri nazar mein

kam-zarf the sare ghuncha o gul

kya phule hain ek musht-e-zar mein

itna bhi na ho koi haya-dar

dekha to sama gae nazar mein

tare ye nahin hain aaKHir-e-shab

kuchh phul hain daman-e-sahar mein

hai umr-e-rawan ka shama mein rang

ghar baiThe guzarti hai safar mein

duniya hai 'jalil' hath uThae

baiThe hain kisi ki rahguzar mein

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasti Hai Adam Meri Nazar Mein In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Hasti Hai Adam Meri Nazar Mein is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Hasti Hai Adam Meri Nazar Mein for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Hasti Hai Adam Meri Nazar Mein in PDF.