Hum To Qusur-war Hue Aankh Dal Ke

hum to qusur-war hue aankh Dal ke

puchho ki nikle kyun the wo jauban nikal ke

aankhon se KHwab ka ho guzar kya majal hai

pahre biTha diye hain kisi ke KHayal ke

dil mein wo bhiD hai ki zara bhi nahin jagah

aap aaiye magar koi arman nikal ke

sad-shukr wasf-e-qad pe wo itna to phul uThe

mazmun buland hain mere aali KHayal ke

lazzat yahi khaTak ki jo hai rah-e-ishq mein

rakh lunga dil mein panw ke kanTe nikal ke

dil rah gaya ulajh ke nigahon ke tar mein

achchha wo jaan Dal gae aankh Dal ke

suniye to ek zara mere ashaar-e-dardnak

laya hun main kaleje ke TukDe nikal ke

aaina hai jo un ka musahib to kya hua

hum bhi kabhi the dekhne wale jamal ke

likkhi hai kha ke KHun-e-jigar ye ghazal 'jalil'

misre nahin hain sher ke TukDe hain lal ke

(639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Qusur-war Hue Aankh Dal Ke In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Hum To Qusur-war Hue Aankh Dal Ke is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Hum To Qusur-war Hue Aankh Dal Ke for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Hum To Qusur-war Hue Aankh Dal Ke in PDF.