Ishq Ab Meri Jaan Hai Goya

ishq ab meri jaan hai goya

jaan ab mehman hai goya

jis ko dekho wahi hai garm-e-talash

kahin us ka nishan hai goya

hai qayamat uThan zalim ki

wo abhi se jawan hai goya

mange jaenge tujh ko hum tujh se

munh mein jab tak zaban hai goya

ji bahalne ko log sunte hain

dard-e-dil dastan hai goya

dil mein kaise wo be-takalluf hain

un ka apna makan hai goya

hae us aalam-ashna ki nazar

har nazar mein jahan hai goya

achchhe-achchhon ko phans rakkha hai

zal-e-duniya jawan hai goya

is suKHan ka 'jalil' kya kahna

'mushafi' ki zaban hai goya

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ab Meri Jaan Hai Goya In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Ishq Ab Meri Jaan Hai Goya is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Ishq Ab Meri Jaan Hai Goya for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Ishq Ab Meri Jaan Hai Goya in PDF.