Lakh Dil-mast Ho Masti Ka Ayan Raaz Na Ho

lakh dil-mast ho masti ka ayan raaz na ho

ye wo shisha hai ki TuTe bhi to aawaz na ho

KHauf hai mausam-e-gul mein ki saba ka jhonka

tair-e-hosh ke haq mein par-e-parwaz na ho

dil bahut bulbul-e-shaida ka hai nazuk gulchin

phul gulzar ke yun toD ki aawaz na ho

kya qayamat hai wo dil toD rahe hain mera

is guman par ki chhupa is mein koi raaz na ho

aaina hath mein hai husn ka nazzara hai

un se kah do meri haalat nazar-andaz na ho

ho ke wo mast-e-mai-e-naz gale lipTe hain

hosh kambaKHt kahin tafraqa-pardaz na ho

us giraftar ki puchho na taDap jis ke liye

dar qafas ka ho khula taqat-e-parwaz na ho

ahl-e-dil ko jo luTati hai sada naghme ki

parda-e-saz mein pinhan teri aawaz na ho

tham lene do kaleja mujhe hathon se 'jalil'

qissa-e-dard-e-jigar ka abhi aaghaz na ho

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Dil-mast Ho Masti Ka Ayan Raaz Na Ho In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Lakh Dil-mast Ho Masti Ka Ayan Raaz Na Ho is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Lakh Dil-mast Ho Masti Ka Ayan Raaz Na Ho for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Lakh Dil-mast Ho Masti Ka Ayan Raaz Na Ho in PDF.