Na KHushi Achchhi Hai Ai Dil Na Malal Achchha Hai

na KHushi achchhi hai ai dil na malal achchha hai

yar jis haal mein rakkhe wahi haal achchha hai

dil-e-betab ko pahlu mein machalte kya der

sun le itna kisi kafir ka jamal achchha hai

baat ulTi wo samajhte hain jo kuchh kahta hun

ab ke puchha to ye kah dunga ki haal achchha hai

sohbat aaine se bachpan mein KHuda KHair kare

wo abhi se kahin samjhen na jamal achchha hai

mushtari dil ka ye kah kah ke banaya un ko

chiz anokhi hai nai jins hai mal achchha hai

chashm o dil jis ke hon mushtaq wo surat achchhi

jis ki tarif ho ghar ghar wo jamal achchha hai

yar tak roz pahunchti hai burai meri

rashk hota hai ki mujh se mera haal achchha hai

apni aankhen nazar aati hain jo achchhi un ko

jaante hain mere bimar ka haal achchha hai

baaton baaton mein laga lae hasinon ko 'jalil'

tum ko bhi sehr-bayani mein kamal achchha hai

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na KHushi Achchhi Hai Ai Dil Na Malal Achchha Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Na KHushi Achchhi Hai Ai Dil Na Malal Achchha Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Na KHushi Achchhi Hai Ai Dil Na Malal Achchha Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Na KHushi Achchhi Hai Ai Dil Na Malal Achchha Hai in PDF.