Nigah Barq Nahin Chehra Aaftab Nahin

nigah barq nahin chehra aaftab nahin

wo aadmi hai magar dekhne ki tab nahin

gunah gunah na raha itni baada-noshi ki

ab ek shaghl hai kuchh lazzat-e-sharab nahin

hamein to dur se aankhen dikhai jati hain

naqab lipTi hai us par koi itab nahin

piye baghair chaDhi rahti hai hasinon ko

wahan shabab hai kya kam agar sharab nahin

bahaar deta hai chhan chhan ke nur chehre ka

sar-e-naqab hai jo kuchh tah-e-naqab nahin

wo apne aks ko aawaz de ke kahte hain

tera jawab to main hun mera jawab nahin

use bhi aap ke honTon ka paD gaya chaska

hazar chhoDiye chhuTne ki ab sharab nahin

buton se parda uThane ki bahas hai bekar

khuli dalil hai kaba bhi be-naqab nahin

'jalil' KHatm na ho daur-e-jam-e-minai

ki is sharab se baDh kar koi sharab nahin

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah Barq Nahin Chehra Aaftab Nahin In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Nigah Barq Nahin Chehra Aaftab Nahin is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Nigah Barq Nahin Chehra Aaftab Nahin for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Nigah Barq Nahin Chehra Aaftab Nahin in PDF.