Qafas Mein Ashk-e-hasrat Par Madar-e-zindagani Hai

qafas mein ashk-e-hasrat par madar-e-zindagani hai

yahi dane ka dana hai yahi pani ka pani hai

mile the aaj barson mein magar allah ki qudarat

wahi surat wahi rangat wahi josh-e-jawani hai

hamein wo jaan bhi lenge hamein pahchan bhi lenge

utar jaega sab nashsha abhi chaDhti jawani hai

kaleje se laga rakhkhun na kyun dard-e-judai ko

yahi to ek dil-e-marhum ki baqi nishani hai

ye sach hai ya ghalat hum ne suna hai marne walon se

tere KHanjar mein qatil chashma-e-haiwan ka pani hai

batae jate hain ausaf wo apni adaon ke

ye shan-e-dil-raubai hai ye tarz-e-jaan-satani hai

yahan kya jaaniye kis tarah dekha hai tasawwur mein

wahan ab tak wahi parde ke andar lan-tarani hai

karen tasKHir aao mil ke hum tum donon aalam ko

idhar jadu-nigahi hai udhar jadu-bayani hai

'jalil' ek sher bhi KHali na paya dard o hasrat se

ghazal-KHwani nahin ye dar-haqiqat nauha-KHwani hai

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qafas Mein Ashk-e-hasrat Par Madar-e-zindagani Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Qafas Mein Ashk-e-hasrat Par Madar-e-zindagani Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Qafas Mein Ashk-e-hasrat Par Madar-e-zindagani Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Qafas Mein Ashk-e-hasrat Par Madar-e-zindagani Hai in PDF.