Unhen Aadat Hamein Lazzat Sitam Ki

unhen aadat hamein lazzat sitam ki

udhar shamshir idhar taqdir chamki

kahun kya dard-e-dil kab se baDha hai

nigah-e-lutf tum ne jab se kam ki

qadam chumenge tere ho ke pamal

chalenge chaal hum naqsh-e-qadam ki

yahan tak un ke wade jhuT nikle

qasam ko bhi hui hajat qasam ki

wo zulf-e-mushk-bu bikhri hui thi

khuli chori nasim-e-subh-dam ki

yahan tak un ko pas-e-raaz-e-KHat tha

ki KHame ki zaban pahle qalam ki

zamin par is ada se panw rakkha

ki aankhen khul gain naqsh-e-qadam ki

kahan piri mein wo raushan-bayani

zaban to hai charagh-e-subh-dam ki

kahan hum aur kahan baKHshish hamari

'jalil' ek mauj bhi abr-e-karam ki

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unhen Aadat Hamein Lazzat Sitam Ki In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Unhen Aadat Hamein Lazzat Sitam Ki is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Unhen Aadat Hamein Lazzat Sitam Ki for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Unhen Aadat Hamein Lazzat Sitam Ki in PDF.