Sitam Hai Mubtala-e-ishq Ho Jaana Jawan Ho Kar

sitam hai mubtala-e-ishq ho jaana jawan ho kar

hamare bagh-e-hasti mein bahaar aai KHizan ho kar

jawani ki duaen mangi jati thin laDakpan mein

laDakpan ke maze ab yaad aate hain jawan ho kar

KHuda rakkhe dil-e-mayus mein ummid baqi hai

yahi gul hai jo bu deta hai pamal-e-KHizan ho kar

mujhe shabnam bana rakkha hai in KHurshid-ruon ne

rulate hain nihan ho kar miTate hain ayan ho kar

hamin wo the ki hoti thi basar phulon ke ghunche mein

hamin ab ai falak tinke chunen be-ashiyan ho kar

dar-e-jaanan ke aage kab tahayyur baDhne deta hai

jo aata hai wo rah jata hai sang-e-astan ho kar

nihaal-e-shama mein kya KHushnuma ek phul aaya tha

sitam Dhaya nasim-e-subh ne baad-e-KHizan ho kar

taqaza sin ka bhi allah kya shai hai ki yusuf se

zuleKHa naz karti hai nae sar se jawan ho kar

'jalil' aaKHir jo ki hai shaeri kuchh kaam bhi nikle

kisi but ko musaKHKHar kijiye mojiz-bayan ho kar

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Hai Mubtala-e-ishq Ho Jaana Jawan Ho Kar In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Sitam Hai Mubtala-e-ishq Ho Jaana Jawan Ho Kar is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Sitam Hai Mubtala-e-ishq Ho Jaana Jawan Ho Kar for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Sitam Hai Mubtala-e-ishq Ho Jaana Jawan Ho Kar in PDF.