Ye Kahna Us Se Ai Qasid Jo Mahw-e-KHud-parasti Hai

ye kahna us se ai qasid jo mahw-e-KHud-parasti hai

ki tere dekhne ko aankh muddat se tarasti hai

bane hain jab se wo saqi maze ki mai-parasti hai

idhar mai hai piyalon mein udhar aankhon mein masti hai

teri aankhon ke sadqe ek duniya un mein basti hai

fusun hai sehr hai eajaz hai shoKHi hai masti hai

tabahi dil mein rahti hai KHarabi dil mein basti hai

yahi aabaad basti hai yahi viran basti hai

nigahon se milata hun nigahen is tamanna mein

wo mere dil mein aa jae jo un aankhon mein masti hai

wo jins-e-dil ki qimat puchhte hain main bataun kya

yahi mahngi si mahngi hai yahi sasti si sasti hai

na sahba hai na saghar hai na mina hai na KHum saqi

mujhe jo mast karti hai teri aankhon ki masti hai

azal se haq-parasti but-parasti sunte aate hain

magar ye aap ka mashrab nirala KHud-parasti hai

jawani ne diye hain un ko la kar ham-nashin kya kya

ada mein naz chitwan mein haya aankhon mein masti hai

madar-e-zindagi Thahra nafas ki aamad-o-shud par

hawa ke zor se raushan charagh-e-bazm-e-hasti hai

tamasha hai meri rindi ki saghar hath mein le kar

har ek se puchhta hun main kahin thoDi si masti hai

firaq-e-ruh kyunkar ho gawara jism-e-insan ko

ujaD kar phir nahin aabaad hoti ye wo basti hai

wo mai-kash hun ki aata hai jo lab par nam tauba ka

to mujh par josh mein aa kar ghaTa kya kya barasti hai

ajab shai jins-e-ulfat hai ki dil jae to hath aae

hamesha ek qimat hai na mahngi hai na sasti hai

jabhi tak aks qaem hai ki aaina muqabil ho

hamari ye haqiqat hai hamari itni hasti hai

yaqin jaano ki munh dekhi mohabbat hum nahin rakhte

wo aaina hai jo warafta-e-surat-parasti hai

bahut jhaTke na de dast-e-junun jaib-o-gareban ko

rahe tujh ko lihaz is ka purana raKHt-e-hasti hai

dil-e-ashiq mein hasrat bhi hai arman bhi tamanna bhi

wo jis basti mein rahte hain baDi aabaad basti hai

fana awwal bhi thi aaKHir bhi hona hai fana hum ko

karen kya do adam ke bich mein ek apni hasti hai

'jalil' ustad ka kahna suno bandho kamar tum bhi

ajab basti madina hai jahan rahmat barasti hai

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kahna Us Se Ai Qasid Jo Mahw-e-KHud-parasti Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Ye Kahna Us Se Ai Qasid Jo Mahw-e-KHud-parasti Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Ye Kahna Us Se Ai Qasid Jo Mahw-e-KHud-parasti Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Ye Kahna Us Se Ai Qasid Jo Mahw-e-KHud-parasti Hai in PDF.