Ye Kah Gaya But-e-na-ashna Suna Ke Mujhe

ye kah gaya but-e-na-ashna suna ke mujhe

ki aap mein nahin rahta hai koi pa ke mujhe

naqab kahti hai main parda-e-qayamat hun

agar yaqin na ho dekh lo uTha ke mujhe

milunga KHak mein aansu ki tarah yaad rahe

milo na aankh kahin aankh se gira ke mujhe

ada se khinch raha hai kaman wo tir-andaz

qaza pukar rahi hai zara bacha ke mujhe

tumhaare waste is dil ka mol hi kya hai

ada se dekh lo ek din nazar uTha ke mujhe

tere hisab mein teri qaba ka daman hun

ki jab mizaj mein aaya chala luTa ke mujhe

main Dar raha hun tumhaari nashili aankhon se

ki luT len na kisi roz kuchh pila ke mujhe

buland nam na hoga sitam-shiari se

tum aasman na ho jaoge sata ke mujhe

buton ko takte guzri hai sharm aaegi

'jalil' le na chalo samne KHuda ke mujhe

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kah Gaya But-e-na-ashna Suna Ke Mujhe In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Ye Kah Gaya But-e-na-ashna Suna Ke Mujhe is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Ye Kah Gaya But-e-na-ashna Suna Ke Mujhe for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Ye Kah Gaya But-e-na-ashna Suna Ke Mujhe in PDF.