Ye Jo Sar Niche Kiye BaiThe Hain

ye jo sar niche kiye baiThe hain

jaan kitnon ki liye baiThe hain

jaan hum sabza-e-KHat par de kar

zahr ke ghonT piye baiThe hain

dil ko hum DhunDte hain chaar taraf

aur yahan aap liye baiThe hain

waizo chheDo na rindon ko bahut

ye samajh lo ki piye baiThe hain

goshe aanchal ke tere sine par

hae kya chiz liye baiThe hain

dast-e-wahshat ko KHabar kar de koi

hum gareban siye baiThe hain

hae puchho na tasawwur ke maze

god mein tum ko liye baiThe hain

aap ke naz uThane wale

jaan ko sabr kiye baiThe hain

bal jabin par hai KHuda KHair kare

aaj wo tegh liye baiThe hain

is tawaqqo pe ki len wo talwar

sar hatheli pe liye baiThe hain

jaan de denge tumhaare dar par

hum ab uThne ke liye baiThe hain

zikr kya jam-o-subu ka ki 'jalil'

ek mai-KHana piye baiThe hain

(1394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Sar Niche Kiye BaiThe Hain In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Ye Jo Sar Niche Kiye BaiThe Hain is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Ye Jo Sar Niche Kiye BaiThe Hain for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Ye Jo Sar Niche Kiye BaiThe Hain in PDF.