Wasl Mein Wo ChheDne Ka Hausla Jata Raha

wasl mein wo chheDne ka hausla jata raha

tum gale se kya mile sara gila jata raha

yar tak pahuncha diya betabi-e-dil ne hamein

ek taDap mein manzilon ka fasla jata raha

ek to aankhen dikhain phir ye shoKHi se kaha

kahiye ab to kam-nigahi ka gila jata raha

roz jate the KHat apne roz aate the payam

ek muddat ho gai wo silsila jata raha

ro rahe the dil ko hum yan hosh bhi jate rahe

gum-shuda yusuf ke pichhe qafila jata raha

muD ke qatil ne na dekha war pura ho gaya

kushtgan-e-nim-bismil ka gila jata raha

wadi-e-ghurbat ke sathi hain hamein dil se aziz

ro diye hum phuT kar jab aabla jata raha

be-KHudi mein mahw-e-nazzara the hum kyun chaunk uThe

hae wo apna maze ka mashghala jata raha

kya mohazzab ban ke pesh-e-yar baiThe hain 'jalil'

aaj wo josh-e-junun wo walwala jata raha

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Mein Wo ChheDne Ka Hausla Jata Raha In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Wasl Mein Wo ChheDne Ka Hausla Jata Raha is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Wasl Mein Wo ChheDne Ka Hausla Jata Raha for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Wasl Mein Wo ChheDne Ka Hausla Jata Raha in PDF.