Yun Na Tapka Tha Lahu Dida-e-tar Se Pahle

yun na Tapka tha lahu dida-e-tar se pahle

dekhna aag lagi phir usi ghar se pahle

jaise jaise dar-e-dildar qarib aata hai

dil ye kahta hai ki pahunchun main nazar se pahle

nama-e-yar paDhun main abhi jaldi kya hai

nama-bar ko to laga lun main jigar se pahle

be-hijabi jo sahi hai teri shoKH aankhon ki

rasm parde ki uThegi isi ghar se pahle

ai 'jalil' aap bhi kis dhyan mein hain KHair to hai

KHwahis-e-qadr-e-hunar kasb-e-hunar se pahle

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Na Tapka Tha Lahu Dida-e-tar Se Pahle In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Yun Na Tapka Tha Lahu Dida-e-tar Se Pahle is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Yun Na Tapka Tha Lahu Dida-e-tar Se Pahle for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Yun Na Tapka Tha Lahu Dida-e-tar Se Pahle in PDF.