Zabt-e-nala Se Aaj Kaam Liya

zabt-e-nala se aaj kaam liya

girti bijli ko main ne tham liya

pa-e-saqi pe tauba loT gai

hath mein is ada se jam liya

phul ka jam jab gira koi

hum ne palkon se baDh ke tham liya

aafrin tujh ko hasrat-e-didar

chashm-e-tar se zaban ka kaam liya

dil jigar nazr kar diye mai ke

de ke do shishe ek jam liya

ulTi ek hath se naqab un ki

ek se apne dil ko tham liya

tark-e-mai ki hui talafi yun

nam saqi ka subh o sham liya

aa gai kya kisi ki yaad 'jalil'

chalte chalte jigar ko tham liya

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zabt-e-nala Se Aaj Kaam Liya In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Zabt-e-nala Se Aaj Kaam Liya is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Zabt-e-nala Se Aaj Kaam Liya for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Zabt-e-nala Se Aaj Kaam Liya in PDF.