Ek Manzar-e-fareb-e-mohabbat Hai Pyar Hai

ek manzar-e-fareb-e-mohabbat hai pyar hai

chehre bata rahe hain dilon mein ghubar hai

main sun raha hun baDhti hui shorishon ki chap

duniya samajh rahi hai faza sazgar hai

chal mere sath aur qadam tol tol kar

sabr-o-raza ki rah baDi pechdar hai

din aaj ka sukun se guzar jae fikr kar

har aane wale kal ka kise e'tibar hai

is aas ko sambhaal ke fanus-e-dil mein rakh

jis aas par hayat ka dar-o-madar hai

tartib de rahe hain charaghon ki anjuman

wo log subh-e-nau ka jinhen intizar hai

ai 'saz' kuchh-na-kuchh to hai is lutf-e-KHas mein

zikr un ki anjuman mein mera bar bar hai

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Manzar-e-fareb-e-mohabbat Hai Pyar Hai In English By Famous Poet Jaleel Saz. Ek Manzar-e-fareb-e-mohabbat Hai Pyar Hai is written by Jaleel Saz. Read famous Poem Ek Manzar-e-fareb-e-mohabbat Hai Pyar Hai for youth and Student by Jaleel Saz. Free Download Ek Manzar-e-fareb-e-mohabbat Hai Pyar Hai in PDF.