Sahil Pe Gawara Hamein Marna Bhi Nahin Hai

sahil pe gawara hamein marna bhi nahin hai

TuTi hui kashti se utarna bhi nahin hai

baiThe hain shab-o-roz tasawwur mein usi ke

wo rahguzar jis se guzarna bhi nahin hai

likkhenge ba-har-haal hikayat-e-junun hum

sachchai qalam mein hai to Darna bhi nahin hai

ahbab bhi ab tez kiye baiThe hain naKHun

ab apne kisi zaKHm ko bharna bhi nahin hai

qatil ko bula lao sitamgar ko sada do

inkar mujhe maut se karna bhi nahin hai

ye KHak hai aadam ki daba is ko lahad mein

is KHak ko rahon mein bikharna bhi nahin hai

ehsan masafat mein kisi ka nahin lete

diwar ke sae mein Thaharna bhi nahin hai

(647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahil Pe Gawara Hamein Marna Bhi Nahin Hai In English By Famous Poet Jaleel Saz. Sahil Pe Gawara Hamein Marna Bhi Nahin Hai is written by Jaleel Saz. Read famous Poem Sahil Pe Gawara Hamein Marna Bhi Nahin Hai for youth and Student by Jaleel Saz. Free Download Sahil Pe Gawara Hamein Marna Bhi Nahin Hai in PDF.