Hawadisat Ke Mare Saubaton Mein Pale

hawadisat ke mare saubaton mein pale

nigah-e-garm se tarsan hon bijliyon ke jale

wo but-kada tha jahan sar jhuke charagh jale

ye mai-kada hai yahan KHam uThe sharab chale

ye raqs-e-anjum-o-mahtab ye saman ye sukun

ye daur-e-mai abhi kuchh aur thoDi der chale

jo apne aap hi mein karda-rah-e-manzil the

rah-e-hayat mein kuchh aise rahnuma bhi mile

bisat-e-anjum-o-mah ho ki mai-kade ka KHarosh

ye bazm rang pe aati hai apni raat Dhale

ziya wo di hai mere dagh-ha-e-dil ne ki bas

charagh-e-bazm-e-tamanna na ek raat jale

jo apni qaum ki kashti ki KHud Dubo Dale

hum aise rahbar-e-qaum ke baghair bhale

isi tazad mein muzmar hai zindagi ka fusun

kahin charagh bujhe aur kahin charagh jale

KHuda bachae bas us mir-e-karwan se 'jalil'

jo kaT leta ho KHud ahl-e-karwan ke gale

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawadisat Ke Mare Saubaton Mein Pale In English By Famous Poet Jaleel Sherkoti. Hawadisat Ke Mare Saubaton Mein Pale is written by Jaleel Sherkoti. Read famous Poem Hawadisat Ke Mare Saubaton Mein Pale for youth and Student by Jaleel Sherkoti. Free Download Hawadisat Ke Mare Saubaton Mein Pale in PDF.