Bikhar Gaya Hai Jo Moti Pirone Wala Tha

bikhar gaya hai jo moti pirone wala tha

wo ho raha hai yahan jo na hone wala tha

aur ab ye chahta hun koi gham baTae mera

main apni miTTi kabhi aap Dhone wala tha

tere na aane se dil bhi nahin dukha shayad

wagarna kya main sar-e-sham sone wala tha

mila na tha pa bichhaDne ka gham na tha mujh ko

jala nahin tha magar rakh hone wala tha

hazar tarah ke the ranj pichhle mausam mein

par itna tha ki koi sath rone wala tha

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bikhar Gaya Hai Jo Moti Pirone Wala Tha In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Bikhar Gaya Hai Jo Moti Pirone Wala Tha is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Bikhar Gaya Hai Jo Moti Pirone Wala Tha for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Bikhar Gaya Hai Jo Moti Pirone Wala Tha in PDF.