Jamal Ab To Yahi Rah Gaya Pata Us Ka

'jamal' ab to yahi rah gaya pata us ka

bhali si shakl thi achchha sa nam tha us ka

phir ek saya dar-o-baam par utar aaya

dil-o-nigah mein phir zikr chhiD gaya us ka

kise KHabar thi ki ye din bhi dekhna hoga

ab e'tibar bhi dil ko nahin raha us ka

jo mere zikr par ab qahqahe lagata hai

bichhaDte waqt koi haal dekhta us ka

mujhe tabah kiya aur sab ki nazron mein

wo be-qusur raha ye kamal tha us ka

so kis se kijiye zikr-e-nazakat-e-KHad-o-KHal

koi mila hi nahin surat-ashna us ka

jo saya saya shab-o-roz mere sath raha

gali gali mein pata puchhta phira us ka

'jamal' us ne to Thani thi umr-bhar ke liye

ye chaar rose mein kya haal ho gaya us ka

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jamal Ab To Yahi Rah Gaya Pata Us Ka In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Jamal Ab To Yahi Rah Gaya Pata Us Ka is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Jamal Ab To Yahi Rah Gaya Pata Us Ka for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Jamal Ab To Yahi Rah Gaya Pata Us Ka in PDF.