Jo Bel Mere Qad Se Hai Upar Lagi Hui

jo bel mere qad se hai upar lagi hui

afsos har bisat se bahar lagi hui

us ki tapish ne aur bhi sulga rakha hai kuchh

jo aag hai makan se bahar lagi hui

sunte hain us ne DhunDh liya aur koi ghar

ab tak jo aankh thi tere dar par lagi hui

pahchan ki nahin hai ye irfan ki hai baat

taKHti koi nahin mere ghar par lagi hui

ab ke bahaar aane ke imkan hain ki hai

har pairahan pe chashm-e-rafu-gar lagi hui

is bar tul khinch gai jang agar to kya

is bar shart bhi to hai baDh kar lagi hui

manhus ek shakl hai jis se nahin farar

parchhain ki tarah se barabar lagi hui

tere hi chaar samt nahin hai hisar-e-jabr

pabandi-e-jamal hai sab par lagi hui

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bel Mere Qad Se Hai Upar Lagi Hui In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Jo Bel Mere Qad Se Hai Upar Lagi Hui is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Jo Bel Mere Qad Se Hai Upar Lagi Hui for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Jo Bel Mere Qad Se Hai Upar Lagi Hui in PDF.