Badan Pe KHarqa-e-tahzib PhaTne Wala Hai

badan pe KHarqa-e-tahzib phaTne wala hai

jise bacha ke rakha hai bahut sambhaala hai

tumhein dikhaun main shahr-e-jadid ka naqsha

ye DeDh inT ki masjid hai ye shiwala hai

tamam raikon mein rakkhi hui kitabon mein

tumhein KHabar nahin fikr-o-nazar ka jala hai

muhib andhere mein raushan KHayal logon par

na jaane agle hi pal kya guzarne wala hai

jahan bhi ubhri sada-e-zamir-e-insani

jadidiyat ke naqibon ne mar Dala hai

faza mein uDte hue aur laDkhaDate hue

parind-e-KHasta ka ek aaKHiri sambhaala hai

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Pe KHarqa-e-tahzib PhaTne Wala Hai In English By Famous Poet Jamal Owaisi. Badan Pe KHarqa-e-tahzib PhaTne Wala Hai is written by Jamal Owaisi. Read famous Poem Badan Pe KHarqa-e-tahzib PhaTne Wala Hai for youth and Student by Jamal Owaisi. Free Download Badan Pe KHarqa-e-tahzib PhaTne Wala Hai in PDF.