DauDta Rahta Hun Na-malum Samton Ki Taraf

dauDta rahta hun na-malum samton ki taraf

dekhta hargiz nahin pairon ke chhaalon ki taraf

bastiyon ke log sach sun kar bahut barham hue

ab mera ugla nishana KHanqahon ki taraf

ab mere daman se uljhi hain kaTili jhaDiyan

kyun nikal aaya tha ghar se KHar-zaron ki taraf

saKHt tanhai ki wahshat se mujhe marna nahin

ghar se ghabra kar nikal paDta hun rahon ki taraf

dekhna KHurshid-e-alam-tab ka aalam ki phir

DhunDne nikla hai KHud ko mah-paron ki taraf

(613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DauDta Rahta Hun Na-malum Samton Ki Taraf In English By Famous Poet Jamal Owaisi. DauDta Rahta Hun Na-malum Samton Ki Taraf is written by Jamal Owaisi. Read famous Poem DauDta Rahta Hun Na-malum Samton Ki Taraf for youth and Student by Jamal Owaisi. Free Download DauDta Rahta Hun Na-malum Samton Ki Taraf in PDF.