Jab Kabhi Shor-e-jahan Hota Hai

jab kabhi shor-e-jahan hota hai

mere hone ka guman hota hai

jabr hai mujh pe nizam-e-fitrat

mujh pe har lamha giran hota hai

subah hoti nahin pahle jaisi

shab-giraftar saman hota hai

dhund mein khote hain manzar sare

pech dar pech dhuan hota hai

sham ta-subh charaghan kar ke

dasht mein nauha-e-jaan hota hai

waqt phailata hai daman apna

aag ka dariya rawan hota hai

mujh ko aazad kar ai danish-e-nau

dil giraftar-e-butan hota hai

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Kabhi Shor-e-jahan Hota Hai In English By Famous Poet Jamal Owaisi. Jab Kabhi Shor-e-jahan Hota Hai is written by Jamal Owaisi. Read famous Poem Jab Kabhi Shor-e-jahan Hota Hai for youth and Student by Jamal Owaisi. Free Download Jab Kabhi Shor-e-jahan Hota Hai in PDF.