Main To Tanha Tha Magar Tujhko Bhi Tanha Dekha

main to tanha tha magar tujh ko bhi tanha dekha

apni taswir ke pichhe tera chehra dekha

jis ki KHushbu se mahak jae shabistan-e-visal

dosto tum ne kabhi wo gul-e-sahra dekha

ajnabi ban ke mile dil mein utarta jae

shahr mein koi bhi tujh sa na shanasa dekha

ab to bas ek hi KHwahish hai ki tujh ko dekhen

sari duniya mein phire aur na kya kya dekha

koi surat bhi shanasa nazar aai na hamein

ghar se nikle to ajab shahr ka naqsha dekha

is qadar dhup thi sanwla gae raKHshan chehre

jalte suraj ka magar rang bhi pila dekha

peD ka dukh to koi puchhne wala hi na tha

apni hi aag mein jalta hua saya dekha

the andheron ke taaqub mein ujale kya kya

KHud tamasha the 'jamil' aur tamasha dekha

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Tanha Tha Magar Tujhko Bhi Tanha Dekha In English By Famous Poet Jameel Malik. Main To Tanha Tha Magar Tujhko Bhi Tanha Dekha is written by Jameel Malik. Read famous Poem Main To Tanha Tha Magar Tujhko Bhi Tanha Dekha for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Main To Tanha Tha Magar Tujhko Bhi Tanha Dekha in PDF.