Raat Kitne Na-tarashida Guhar Bhi Laegi

raat kitne na-tarashida guhar bhi laegi

na-tarashida si zau lekin sahar bhi laegi

jagmaga uTThenge shaKHon par gulabon ke charagh

jab bahaar aai to apne baal-o-par bhi laegi

aaj tak lauTe nahin nadida shamon ke safir

jugnuon ki raushni un ki KHabar bhi laegi

jab mili aawargi ko manzil-e-KHud-agahi

dasht mein khoe huon ko apne ghar bhi laegi

KHak se taKHliq hogi aatish-o-ab-o-hawa

zindagi KHud apna saman-e-safar bhi laegi

ta-ba-kai chhup kar karoge mera sar tan se juda

dekhna kal ki gawahi mera sar bhi laegi

jab bujhegi aag to apne hi naghmon se 'jamil'

zard aandhi barish-e-barq-o-sharar bhi laegi

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Kitne Na-tarashida Guhar Bhi Laegi In English By Famous Poet Jameel Malik. Raat Kitne Na-tarashida Guhar Bhi Laegi is written by Jameel Malik. Read famous Poem Raat Kitne Na-tarashida Guhar Bhi Laegi for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Raat Kitne Na-tarashida Guhar Bhi Laegi in PDF.