Rah-e-talab Mein Aaj Ye Kya Moajaza Hua

rah-e-talab mein aaj ye kya moajaza hua

KHwab-e-adam mein jo bhi gaya jagta hua

maidan mein haar jit ka yun faisla hua

duniya thi un ke sath hamara KHuda hua

barson ki dosti ka chalan kya se kya hua

kis munh se hum milenge agar samna hua

sadiyon ka dard waqt ki aawaz ban gaya

phir se bapa wo marka-e-karbala hua

laya hai rang KHun-e-shahidan ba-faiz-e-shauq

nazron ke samne hai gulistan khila hua

patthar bane hue the zaban de gaya hamein

ehsas ki ragon mein lahu bolta hua

rahen simaT simaT ke nigahon mein aa gain

jo bhi qadam uTha wahi manzil-numa hua

aankhon mein mishalen hain firozan dawam ki

dil mein hai teri yaad ka kanTa chubha hua

tu manzil-e-hayat se aage nikal gaya

main aa raha hun tera pata puchhta hua

jaan nazr ki to donon jahan mil gae hamein

tai marg o zindagi ka har ek marhala hua

yun dil mein aaj nur ki barish hui 'jamil'

jaise koi charagh jala de bujha hua

(1146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-talab Mein Aaj Ye Kya Moajaza Hua In English By Famous Poet Jameel Malik. Rah-e-talab Mein Aaj Ye Kya Moajaza Hua is written by Jameel Malik. Read famous Poem Rah-e-talab Mein Aaj Ye Kya Moajaza Hua for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Rah-e-talab Mein Aaj Ye Kya Moajaza Hua in PDF.