Raste Mein LuT Gaya Hai To Kya Qafila To Hai

raste mein luT gaya hai to kya qafila to hai

yaro nae safar ka abhi hausla to hai

wamandgi se uTh nahin sakta to kya hua

manzil se aashna na sahi naqsh-e-pa to hai

hathon mein hath le ke yahan se guzar chalen

qadmon mein pul-siraat sahi rasta to hai

mange ki raushni to koi raushni nahin

is daur-e-mustaar mein apna diya to hai

ye kya zarur hai main kahun aur tu sune

jo mera haal hai wo tujhe bhi pata to hai

apni shikayaten na sahi tera gham sahi

izhaar-e-dastan ka koi silsila to hai

hum se koi talluq-e-KHatir to hai use

wo yar ba-wafa na sahi bewafa to hai

wo aae ya na aae mulaqat ho na ho

rang-e-sahar ke pas KHiram-e-saba to hai

panw ki chap se meri dhaDkan hai ham-nawa

is dasht-e-haul mein koi naghma-sara to hai

suraj hamare ghar nahin aaya to kya hua

do-chaar aanganon mein ujala hua to hai

kanTa nikal bhi jaega jab waqt aaega

kanTe ke dil mein bhi koi kanTa chubha to hai

main reza reza uDta phirunga hawa ke sath

sadiyon mein jhank kar bhi mujhe dekhna to hai

aashob-e-agahi ki shab-e-be-kanar mein

tere liye 'jamil' koi sochta to hai

(1284) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Mein LuT Gaya Hai To Kya Qafila To Hai In English By Famous Poet Jameel Malik. Raste Mein LuT Gaya Hai To Kya Qafila To Hai is written by Jameel Malik. Read famous Poem Raste Mein LuT Gaya Hai To Kya Qafila To Hai for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Raste Mein LuT Gaya Hai To Kya Qafila To Hai in PDF.