Teri Justuju Mein Nikle To Ajab Sarab Dekhe

teri justuju mein nikle to ajab sarab dekhe

kabhi shab ko din kaha hai kabhi din mein KHwab dekhe

mere dil mein is tarah hai teri aarzu KHiraman

koi naznin ho jaise jo khuli kitab dekhe

jise meri aarzu ho jo KHarab-e-ku-ba-ku ho

mujhe dekhne se pahle tujhe be-naqab dekhe

jise kuchh nazar na aaya ho jahan rang-o-bu mein

wo khila gulab dekhe wo tera shabab dekhe

do-jahan ko la Duboe wo zara si aabju mein

teri chashm-e-surmagin ko jo koi pur-ab dekhe

yun Thahar Thahar ke guzri shab-e-intizar yaro

ki sahar ke hote hote kai hum ne KHwab dekhe

mujhe dekhna ho jas ko mere haal par na jae

mera zauq-o-shauq dekhe mera intiKHab dekhe

(26416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Justuju Mein Nikle To Ajab Sarab Dekhe In English By Famous Poet Jameel Malik. Teri Justuju Mein Nikle To Ajab Sarab Dekhe is written by Jameel Malik. Read famous Poem Teri Justuju Mein Nikle To Ajab Sarab Dekhe for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Teri Justuju Mein Nikle To Ajab Sarab Dekhe in PDF.