Wo Aaenge To Khilenge Nashat-e-wasl Ke Phul

wo aaenge to khilenge nashat-e-wasl ke phul

shab-e-firaq mein un ki saKHawaton ko na bhul

yahi hai kya teri taqsim-e-gulsitan ka usul

kisi ko phul milen aur kisi ko KHar babul

zamin ka rang to ham-rang-e-dam hota hai

bhaTak na jaen kahin meri chahaton ke rasul

tumhaare pas to sim-sim ka ism-e-azam hai

ye kya ki band hai apne liye hi bab-e-qubul

kisi ka dida-e-KHunin bhi rang la na saka

kisi ke shola-e-tan se pighal gae hain usul

bujhaen pyar mohabbat ke shabnamistan se

na baiTh jae gul-e-jaan pe nafraton ki ye dhul

bhari bahaar mein jaise phuwar paDti hai

kuchh is tarah mere dil par hai shairi ka nuzul

ulajh gae kabhi sangin haqiqaton se 'jamil'

kabhi kisi ke tasawwur se ho gae hain malul

(1485) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aaenge To Khilenge Nashat-e-wasl Ke Phul In English By Famous Poet Jameel Malik. Wo Aaenge To Khilenge Nashat-e-wasl Ke Phul is written by Jameel Malik. Read famous Poem Wo Aaenge To Khilenge Nashat-e-wasl Ke Phul for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Wo Aaenge To Khilenge Nashat-e-wasl Ke Phul in PDF.