Ye Manzar Ye Rup Anokhe Sab Shahkar Hamare Hain

ye manzar ye rup anokhe sab shahkar hamare hain

hum ne apne KHun-e-jigar se kya kya naqsh ubhaare hain

sadiyon ke dil ki dhaDkan hai un ki jagti aankhon mein

ye jo falak par hansmukh chanchal jagmag jagmag tare hain

ek zara si bhul pe hum ko itna tu badnam na kar

hum ne apne ghao chhupa kar tere kaj sanware hain

kuchh baaten kuchh raaten kuchh barsaten apna sarmaya

mazi ke andhiyare mein ye jalte dip hamare hain

ek jahan ki khoj mein apne pyar ki nagri chhoD aae

aur zamana ye samjha hum pyar ki bazi haare hain

sab se hans kar milne wale hum ko kisi se bair nahin

duniya hai mahbub hamein aur hum duniya ko pyare hain

(1135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Manzar Ye Rup Anokhe Sab Shahkar Hamare Hain In English By Famous Poet Jameel Malik. Ye Manzar Ye Rup Anokhe Sab Shahkar Hamare Hain is written by Jameel Malik. Read famous Poem Ye Manzar Ye Rup Anokhe Sab Shahkar Hamare Hain for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Ye Manzar Ye Rup Anokhe Sab Shahkar Hamare Hain in PDF.