Aagahi Aur Aagahi Dijiye Aagahi Kuchh Aur

aagahi aur aagahi dijiye aagahi kuchh aur

tirgi ghor ghor hai phenkiye raushni kuchh aur

is ka KHuda sanam sanam us ka KHuda haram haram

ishq ki gumrahi kuchh aur aql ki gumrahi kuchh aur

us ki tahi hai jeb aur is ka dimagh hai tahi

us ki hai muflisi kuchh aur is ki hai muflisi kuchh aur

naz tera chaman chaman raaz tera dahan dahan

kahti hai tirgi kuchh aur kahti hai raushni kuchh aur

kahti hai dopahar ki dhup mera mizaj garm hai

lekin ujali raat mein kahti hai chandni kuchh aur

bad hai koi na nek hai donon ka maqsad ek hai

garche hai rahzani kuchh aur garche hai rahbari kuchh aur

garche KHuda ko aap ne mah-e-laqa bana diya

us ke firaq mein 'jamil' kijiye shaeri kuchh aur

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aagahi Aur Aagahi Dijiye Aagahi Kuchh Aur In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Aagahi Aur Aagahi Dijiye Aagahi Kuchh Aur is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Aagahi Aur Aagahi Dijiye Aagahi Kuchh Aur for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Aagahi Aur Aagahi Dijiye Aagahi Kuchh Aur in PDF.