Aur Kuchh Lafz GaDhun Sanat-e-iham Ghalat

aur kuchh lafz gaDhun sanat-e-iham ghalat

hai ye KHud apni KHudi is ka KHuda nam ghalat

jumbishen us ki ghalat hain ki KHud abru mein hai KHam

us ki tamil mein ye gardish-e-ayyam ghalat

ye safar kya ki jahan chhanw mili baiTh gae

dhup kitni hi kaDi ho magar aaram ghalat

hawas-e-dana agar hai to su-e-dam chalo

hawas-e-dana o andeshgi-e-dam ghalat

is se behtar thi kahin gosha-e-aram mein nind

ye safar kya ki har ek rah har ek gam ghalat

nahin afsun hi ko afsane ki manzil malum

ghalat aaghaz ka hota hi hai anjam ghalat

'mazhari' chal na sake waqt-e-subuk-e-gam ke sath

ham-safar pairawi-e-waqt-e-subuk-gam ghalat

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Kuchh Lafz GaDhun Sanat-e-iham Ghalat In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Aur Kuchh Lafz GaDhun Sanat-e-iham Ghalat is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Aur Kuchh Lafz GaDhun Sanat-e-iham Ghalat for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Aur Kuchh Lafz GaDhun Sanat-e-iham Ghalat in PDF.