Badal Jate Hain Dil Haalat Jab KarwaT Badalte Hain

badal jate hain dil haalat jab karwaT badalte hain

mohabbat ke tasawwur bhi nae sanchon mein Dhalte hain

tabassum jab kisi ka ruh mein tahlil hota hai

to dil ki bansuri se nit nae naghme nikalte hain

mohabbat jin ke dil ki dhaDkanon ko tez rakhti hai

wo aksar waqt ki raftar se aage bhi chalte hain

ujale ke pujari muzmahil kyun hain andhere se

ki ye tare nigalte hain to suraj bhi ugalte hain

inhi hairat-zada aankhon se dekhe hain wo aansu bhi

jo aksar dhup mein mehnat ki peshani se Dhalte hain

mohabbat to talab ki rah mein ek aisi Thokar hai

ki jis se zindagi ki ret mein zamzam ubalte hain

ghubar-e-karwan hain wo na puchho iztirab un ka

kabhi aage bhi chalte hain kabhi pichhe bhi chalte hain

dilon ke naKHuda uTh kar sambhaalen kashtiyan apni

bahut se aise tufan 'mazhari' ke dil mein palte hain

(1122) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badal Jate Hain Dil Haalat Jab KarwaT Badalte Hain In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Badal Jate Hain Dil Haalat Jab KarwaT Badalte Hain is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Badal Jate Hain Dil Haalat Jab KarwaT Badalte Hain for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Badal Jate Hain Dil Haalat Jab KarwaT Badalte Hain in PDF.