Bahut Mushkil Hai Pas-e-lazzat-e-dard-e-jigar Karna

bahut mushkil hai pas-e-lazzat-e-dard-e-jigar karna

kisi se ishq karna aur wo bhi umar bhar karna

sar-e-mahfil tera wo pursish-e-zaKHm-e-jigar karna

meri jaanib ba-mushkil ek nazar karna magar karna

musallam ho gai hai be-iKHtiyari jazb-e-baatin ki

mohabbat us se karna jis se nafrat is qadar karna

yahan baal-o-pari bhi ek surat hai asiri ki

asir-e-baal-o-par ho kar ghurur-e-baal-o-par karna

tujhe haq hai ki tu parda uThae ru-e-raushan se

ki tere husn ko aata hai tahzib-e-nazar karna

baDha kar hath tare aasman se kaun toDega

'jamil' ek kar-e-na-mumkin hai taqlid-e-qamar karna

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Mushkil Hai Pas-e-lazzat-e-dard-e-jigar Karna In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Bahut Mushkil Hai Pas-e-lazzat-e-dard-e-jigar Karna is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Bahut Mushkil Hai Pas-e-lazzat-e-dard-e-jigar Karna for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Bahut Mushkil Hai Pas-e-lazzat-e-dard-e-jigar Karna in PDF.