BaKHshish Hai Teri Hath Mein Duniya Liye Hue

baKHshish hai teri hath mein duniya liye hue

main chup khaDa hun dida-e-bina liye hue

sahra ko kya KHabar ki hai har zarra-e-haqir

muTThi mein apni qismat-e-sahra liye hue

us sham se Daro jo sitaron ki chhanw mein

aati ho ek hasin andhera liye hue

ai waqt ek nigah ki kab se khaDe hain hum

aaina-e-tasawwur-e-farda liye hue

guzra tha is dayar se suraj ka ek safir

har naqsh-e-pa mein ek yad-e-baiza liye hue

aaya ye kaun saya-e-zulf-e-daraaz mein

peshani-e-sahar ka ujala liye hue

lai thi be-KHudi jise is dar pe wo 'jamil'

jata hai ab KHudi ka janaza liye hue

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaKHshish Hai Teri Hath Mein Duniya Liye Hue In English By Famous Poet Jameel Mazhari. BaKHshish Hai Teri Hath Mein Duniya Liye Hue is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem BaKHshish Hai Teri Hath Mein Duniya Liye Hue for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download BaKHshish Hai Teri Hath Mein Duniya Liye Hue in PDF.