Ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul Surur Har Dil Mein Hai KHudi Ka

ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka

agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka

bas ek ehsas-e-na-rasai na josh is mein na hosh us ko

junun pe haalat rubudgi ki KHirad pe aalam ghunudgi ka

hai ruh tarikiyon mein hairan bujha hua hai charagh-e-manzil

kahin sar-e-rah ye musafir paTak na de bojh zindagi ka

KHuda ki rahmat pe bhul baiThun yahi na mani hai is ke waiz

wo abr ka muntazir khaDa ho makan jalta ho jab kisi ka

wo lakh jhukwa le sar ko mere magar ye dil ab nahin jhukega

ki kibriyai se bhi ziyaada mizaj nazuk hai bandagi ka

'jamil' hairat mein hai zamana mere taghazzul ki muflisi par

na jazba-e-ijtiba-e-rizwi na kaif 'parwez-shahidi' ka

(1282) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul Surur Har Dil Mein Hai KHudi Ka In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul Surur Har Dil Mein Hai KHudi Ka is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul Surur Har Dil Mein Hai KHudi Ka for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul Surur Har Dil Mein Hai KHudi Ka in PDF.