Hasti Hai Judai Se Uski Jab Wasl Hua To Kuchh Bhi Nahin

hasti hai judai se us ki jab wasl hua to kuchh bhi nahin

dariya mein na tha to qatra tha dariya mein mila to kuchh bhi nahin

ek shama jali to mahfil mein har samt ujala phail gaya

qanun yahi hai fitrat ka parwana jala to kuchh bhi nahin

sailab mein tinke raqsan the maujon se safine larzan the

ek dariya tha sau tufan the dariya na raha to kuchh bhi nahin

asliyat thi ya dhoka tha ek fitna-e-rangin barpa tha

sau jalwe the ek parda tha parda na raha to kuchh bhi nahin

tufan bhi tha aandhi bhi thi baran bhi tha bijli bhi thi

aai jo ghaTa to sab kuchh tha barsi jo ghaTa to kuchh bhi nahin

phulon se chaman aabaad bhi the dam apna liye sayyaad bhi the

sab kuchh tha 'jamil' is gulshan mein badli jo hawa to kuchh bhi nahin

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasti Hai Judai Se Uski Jab Wasl Hua To Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Hasti Hai Judai Se Uski Jab Wasl Hua To Kuchh Bhi Nahin is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Hasti Hai Judai Se Uski Jab Wasl Hua To Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Hasti Hai Judai Se Uski Jab Wasl Hua To Kuchh Bhi Nahin in PDF.