Har Taraf Parda-dar-e-zulmat Hai

har taraf parda-dar-e-zulmat hai

ek tabassum ki phir zarurat hai

Thahri Thahri hai waqt ki raftar

aalam-e-ghaur mein mashiyyat hai

hai guman kya yaqin ka saya

aur yaqin wahime ki shiddat hai

ishq bhi zindagi ki lanat tha

aql bhi zindagi ki lanat hai

KHud-numai mein jo hijab rahe

tirgi us ki ek alamat hai

shor-e-tahsin-e-narawa se 'jamil'

ye KHamoshi basa-ghanimat hai

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Taraf Parda-dar-e-zulmat Hai In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Har Taraf Parda-dar-e-zulmat Hai is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Har Taraf Parda-dar-e-zulmat Hai for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Har Taraf Parda-dar-e-zulmat Hai in PDF.