Hamara To Koi Sahaara Nahin Hai

hamara to koi sahaara nahin hai

KHuda hai to lekin hamara nahin hai

mohabbat ki talKHi gawara hai lekin

haqiqat ki talKHi gawara nahin hai

meri zindagi wo KHala hai ki jis mein

kahin dur tak koi tara nahin hai

KHuda kya KHudi ko bhi aawaz di hai

musibat mein kis ko pukara nahin hai

sarab ek haqiqat hai aab ek tasawwur

yahi zindagi hai to chaara nahin hai

hum apni hi aankhon ka parda ulaT den

haqiqat ko ye bhi gawara nahin hai

wo kya un ke gesu sanwarega jis ne

gareban bhi apna sanwara nahin hai

KHuda us se nipTe to nipTe ki ye dil

hamara nahin hai tumhaara nahin hai

nazar un ki gosha-nashin hai haya se

ishaara nahin ye ishaara nahin hai

hamara hai kya jab hamara irada

hamara hai lekin hamara nahin hai

gareban bahut se hue para para

naqab ek bhi para para nahin hai

kisi ke liye dil ko sulga ke dekho

jahannam koi istiara nahin hai

ba-juz 'mazhari' ke sabhi bazm mein hain

wahi tere wadon ka mara nahin hai

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamara To Koi Sahaara Nahin Hai In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Hamara To Koi Sahaara Nahin Hai is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Hamara To Koi Sahaara Nahin Hai for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Hamara To Koi Sahaara Nahin Hai in PDF.