Ghaur To Kije Ki Ye Sajda-rawa Kyun Kar Hua

ghaur to kije ki ye sajda-rawa kyun kar hua

us ne jab kuchh hum se manga to KHuda kyunkar hua

ai nigah-e-shauq is chashm-e-fusun-pardaz mein

wo jo ek pindar tha aaKHir haya kyunkar hua

ek taraazu ishq ke hathon mein bhi jab hai to wo

aalam-e-sud-o-ziyan se mawara kyunkar hua

din o danish donon hi har moD par the dil ke sath

yak-ba-yak diwana donon se KHafa kyunkar hua

rahzanon ke ghol idhar the rahbaron ki bhiD udhar

aa gae manzil pe hum ye mojaza kyunkar hua

KHarzar-e-din-o-danish lala-zar-e-husn-o-ishq

dil ki ek wahshat se tai ye marhala kyunkar hua

apne zehni zalzalon ka nam jo rakh lo magar

do dilon ka ek tasadum saneha kyunkar hua

teri mahrumi use jo bhi kahe lekin 'jamil'

ghair se us ne wafa ki bewafa kyunkar hua

(1005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaur To Kije Ki Ye Sajda-rawa Kyun Kar Hua In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Ghaur To Kije Ki Ye Sajda-rawa Kyun Kar Hua is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Ghaur To Kije Ki Ye Sajda-rawa Kyun Kar Hua for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Ghaur To Kije Ki Ye Sajda-rawa Kyun Kar Hua in PDF.